How to style oversized t- shirt

Hello friends welcome to my website Teenager Stylish. Jaruri nahin hai ki har style sirf teenager bacchon ke liye hi hai ! So aaj mein aap sab ke liye yah post laya hun and yah style teenager bhi try kar sakte hain.

How to style oversized T-shirt

Agar aap apni T-shirt ko Stylish and Fashionable tarike se pahnengi, to aap bahut hi jyada attractive dikhengi. To uske liye aapko yeh post aise hi padhte rahni hogi.

No.1- Tuck in & Belt Style

Sabse pehle apne oversized t-shirt ko pehne and use “Skirt” ya “Jeans” me tuck kare, then aek stylish belt ko bhi pehen lijiye. Jisse aapka look Stylish and Formal dikhega. And aap chaho to t-shirt ke sirf dono side ko bhi tuck kar sakti hain.


No.2- T-shirt Knot Style

Is style me aap apne t-shirt ko “Knot” yaani (Gaanth) marengi. Yes! Oversized t-shirt ko pehenne ke baad t-shirt ke side ko pakad kar khichiye and “gittha” maar dijiye. Ab ye choice aapki hai ki aap left side “knot” karengi ya fir right side. Is style ko aap “Skirt” ya “High-waist Jeans” ke saath try kar sakti hai, jisse aapka look “Youthful” and “Trendy” lagegi.


No.3- T-shirt & Jacket Style

Is style mein aap apne oversized t-shirt ko pahan lijiye and uske upar “Blazer” ya fir “Jacket” daal lijiye. Aap is style ko skirt ya jeans ke sath bhi kar sakti hai, yah aapki personal choice hai. But agar aap jeans ke sath is style ko karengi to aapki look “Casual” and “Comfortable” lagegi. and agar aap skirt ke sath try karengi to aapki look “Feminine” and “Stylish” lagegi.


No.4- One Side Off-Shoulder Style

Is style me aapki oversized t-shirt kisi aek “shoulder” ke neeche hoga. Jise aapko kuch is tarike se karna hai. T-shirt ko pehenne ke baad aapko apni aek “shoulder” ki bilkul neeche pakad kar khichna hai, jisse aapka t-shirt aapki “shoulder” ke neeche chla ayega. Aap chaho to ye style “Right” shoulder ke saath bhi kar sakti hai ya fir “Left” wale shoulder ke saath bhi. Ye style bahut hi “Fashionable” and “Stylish” hai.


No.5- Shorts and Oversize T-shirt

Agar aap ek “short” style dhundh rahi hain jisse aapko “comfortable” feel ho, to yah style aapke liye bilkul perfect hai. Is style mein aapko oversized t-shirt ko pahanni hai and niche “Cycling shorts” ko pahan leni hai then kamar mein t-shirt ke upar hi aek stylish “Belt” dal leni hai, and ab aapki stylish look attractive ban chuki hai. Yah style bhi bahut hi “Comfortable” and “Fashionable” hai.


No.6- Front Tuck Style

Is style mein aapko apni t-shirt ke samne wale part ko half tuck karni hoti hai. Ye aek “Casual” style hai. Sabse pehle aapko oversized t-shirt pehan leni hai and then aap “skirt” ya koi bhi “Jeans” aap pehan sakti hai. Uske bad aapko apni t-shirt ke samne wale part ko “Skirt” ya “Jeans” mein tuck kar deni hai. Then aapki shorts style ready hai.


No.7- Crop Top Oversized T-shirt

Yeh style sabse best hai un beautiful ladkiyon ke liye jo  bahut hi jyada stylish Banna chahti hai. Is style mein aapko apni oversized t-shirt ko “Crop Top” ki tarah pahanni hoti hai, kuch is tarike se. Oversized t-shirt ko pahenne ke bad niche ke part ko fold kar lena hai bilkul top ki tarah. And bottom me aap kya choose karengi yah aapki personal choice hai.


No.8- T-shirt French Tuck Style

Yeh style bahut hi simple hai ismein aapko apni t-shirt ke front side mein thodi si tuck karni hoti hai. Yah style simple and elegant hai. Aapko yah style kabhi na kabhi try karni hi chahiye. And ise bhi aap kisi bhi bottoms ke sath pahan sakti hain.


No.9- Strappy Dress on the T-shirt

Is style mein aapko oversized t-shirt ke upar “Strappy “Dress” ko pahanni hongi. Sabse pahle aapko ek aisi Oversized t-shirt ko select karni hai jo jyada dhili-dhali na ho. Select karne ke bad aapko vah t-shirt pahankar upar Strappy dress ko bhi pahan leni hai. And bottom mein aap kuchh bhi select kar sakti hain. And ab aapka yah new look bahut hi stylish lagega.

 


No.10- Roll Your Sleeve

Is style mein aapko sabse pahle apni Oversized t-shirt ko pahan leni hai and “Sleeve” yani (aasteen) ko upar ki taraf roll kar leni hai. And aap chaho to One Side Off-Shoulder Style ko bhi is style mein add kar sakti hain. And then bottom mein kuchh bhi select kar leni hai. And ab aapka yah new style ready ho chuka hai.


To friends ye thi 10 Stylish tips for oversized T-shirt. Aap inmein se koi bhi style try kar sakti hain, agar aapko pasand aaya to acchi baat hai aur agar nahin to aap koi dusra style try kar sakti hain.

Conclusion

Aapko maine jitne bhi style ke tips diye hain aap unme se kisi ko bhi select karke ek attractive girl ban sakti hain. Aap chaho to sare styles ko combine karke ek new style create kar sakti hain, jo aapke liye bahut hi attractive style sabit ho sakti hai.


Related Topics:-

New stylish girl in jeans top :-https://teenagerstylish.com/new-stylish-girl-in-jeans-top/

Stylish Dress for Girls arround 1,000 rupees ! Link:-https://teenagerstylish.com/stylish-dress-for-girls/


FAQ

How to make oversized t-shirts look good?

Oversized t-shirts ko aap aise stylish tarike se pahan sakti hain.

  1. Up your layering game.
  2. Tie in a top.
  3. Go bold with a graphic tee.

Which pant suits on an oversized T-shirt?

Oversized t-shirts ke liye aap koi bhi bottom select kar sakti hain but sabse best yah 2 bottoms hai:-

  1. Shorts
  2. Jeans

Which bra to wear under oversized t-shirt?

Jab bhi aap koi bhi t-shirt pahno, chahe wah oversized ho ya fir tight, aapko hamesha andar “T-shirt Bra” hi pahnni chahiye. Jo aapke liye bahut hi comfortable rahega.

Leave a Comment