Stylish Tips For Women | 3 Tips & Don’t Mistake |

Hello everyone! Welcome to my website (teenagerstylish.com) so aaj me womens ke ke liye 5 stylish tips lekar aya hu, jise follow karne ke bad aap aek “Attractive” and “Stylish” girl ban sakti hain.


Stylish Tips for Women

Note:-

If your language is different and you want to read this post in your language, then you can “Auto Translate” this page and read it in your language.

But agar aapki language Hindi hai to chaliye is information post ko start karte hain.

Number – 1.


Choose your style according to your character ✓


Style karne ka matlab yah nahin hai ki aap khud ko bhul jao I mean kuchh ladkiyan aisi hoti hai jo spne style ke chakkar mein woh yah bhool jaati hain ki kya woh style un per suit karega bhi, and isu wajah se unki har jagah bejjati hoti rahti hai sirf aur sirf unki style ki wajah se. Isliye aapko apni style hamesha use type ke hi rakhni chahiye jis type ke aap ho yani aapki character jis type ki hai, otherwise aapki bahut hi majak udayi jaegi. Example ke taur per maan lijiye aapka “Character” yani aap (shant swabhav) ki hain, and aapne ek esi style ko follow kar liya jo ye cheekh-cheekh kar bol raha ho, ki han apne style kiya hai, to yah style aapke character ke bilkul hi khilaf hai. Aapko hamesha apni character ko dhyan mein rakhte hue hi style karni chahiye. And agar aap chahti hain ki aapki style “Character Friendly” ho to aapko color combination ka bhi dhyan rakhna hoga. To ab Stylish tips for women ke bare mein aur bhi janne ke liye second Tip per chalte hain.

Number – 2.


Don’t inconvenience yourself for style.


Mere hisab se aapko style ke chakkar mein kabhi bhi khud ko taklif nahin pahunchani chahiye. Because kuchh ladkiyan aisi hoti hai, jo aek aise dress pahan leti hai jiski vajah se na to woh koi kam kar paati hai aur na hi present time ko enjoy. Isliye aapko hamesha comfortable dress ko hi choose karni chahiye, chahe woh t-shirt and jeans hi kyon na ho. Yes! Agar aapko lagta hai ki aap t-shirt and jeans mein hi comfortable feel karengi, to aapko use hi select karni hai. And select karne ke bad ab aap ismein bhi kai style kar sakti hain. Like a Tuck In, T-shirt Knot, T-shirt & Jacket and One Side Off-Shoulder jaise kai style hai jinhen aap try karke ek attractive and stylish girl ban sakti hain. But agar aapko aur bhi style janni hai to aap niche diye gaye link per click karke us page per ja sakti hain, jis page mein Maine t-shirt se related kai styles ka khulasa kiya hai.

Link:- https://teenagerstylish.com/how-to-style-oversized-t-shirt/

Number – 3.


Avoid tight dress otherwise you…..


Style aek aesi cheej hai jise aap kahi par bhi aur kaisi bhi kar sakti hai, chahe wo Saree ho, kyuki “Saree bhi aapko kai tarah ki mil jaingi”, and chahe wo “Burkha” hi kyuna ho because ” Burkha bhi aapko kai design me dekhne ko mil jaingi” yani har ek dress se aap apni style kar sakti hai. But kuchh dress aisi hoti hai jo bahut jyada tight hoti hai and vah style ke liye hi bani hui hai. So agar aap sonch rahe hai ki us tight dress ko agar aap bhi pahnengi to aap bhi ek stylish girl lagengi, to yah aapki galat family hai. Because her stylish dress har ladkiyon ke liye nahin hoti. Khaaskar un ladkiyon ke liye jo ladki “Thin” yani dubli-patli ho. Aesi ladkiyon ko kabhi bhi tight dress nahi pehenni chahiye. Because isse aap aur bhi jyada dubli lagengi. So aapko hamesha aek aesi dress ko hi choose karna chahiye jo aapke body ka jyada ubhaar na rahe ho.


Agar aapko Stylish tips for women name ke is post mein kuch bhi nya janne ko mila ho to mujhe comment jarur kariyega.


Conclusion

Mene aapko total sirf 3 tips hi bataye hai jabki aese kai tips hai jo hamare style ke waqt hame pata honi chahiye. Anyways abhi ke liye itna hi, and mai koshish karunga ki aap sabke liye aur bhi important tips lane ki, taki aapki style me koi kami na reh jaye.


Releted Topics:-

How to style oversized t-shirt

Link:- https://teenagerstylish.com/how-to-style-oversized-t-shirt/

Stylish Dress for Girls arround 1,000 rupees!

Link:- https://teenagerstylish.com/stylish-dress-for-girls/

Leave a Comment