Stylish Shoes for Men | Budget Friendly Branded and Stylish Shoes

Agar aap aek stylish shoes find kar rahe hai, to aap bilkul sahi jagah par aaye hai. Because is page me ham baat karenge Red Tape company ki Top 5 stylish shoes ke bare me. Jiski har aek shoes launch ke waqt price 5,000 rupees se 12,000 rupees tak rakhi jaati hai. Han wo baat alag hai ki launch ke 1 ya 2 months me hi price kam hokar 1,000 to 2,000 rupees ke beech me ajati hai.

Isliye aaj mai Red Tape ki unhi shoes ko lekar aya hu, jo aapko 1,000 rupees se 3,000 rupees ke beech me aek stylish and branded shoes dekhne ko mil jainge.


Stylish Shoes for Men

Chaliye ab jaante hai ki wo kaun-kaun si Red Tape ki shoes hai jo stylish and kam price me abhi available hai.

No.1- RSL0567 Shoes

Red Tape ki yeh shoes jiska name RSL0567 hai. Ye shoes launch hone ke waqt iski price 5,499 rupees thi, and abhi iski price 1,099 rupees me gir chuki hai, yani abhi ye shoes offer me chal rha hai. Is shoes ka wait 400GM ke aas paas hai.

Features

  1. Shoes ki puri body PU material se bani hui hai.
  2. Is shoes mein multiple colors hain, (White, Off white, Navy blue, Midnight blue and Dark brown.
  3. Is shoes me “Nylon” ka lace use kiya gaya hai.
  4. Shoes ke “tongue” me mesh ka use kiya gya hai.
  5. Tongue ke upar navy blue color me Red Tape ki classic branding ki gayi hai
  6. Shoes ke side me bhi Red Rape ka logo bana hua hai.
  7. Shoes ke back side me TPU Patch laga hua hai, jo ki “plastic” ka hai. And uske upar bhi Red Tape brand ka logo print kiya gya hai.
  8. Shoes ke upar ka border soft and aaram dayak hai.
  9. Shoes ke andar “Insole” me memory form ka use kiya gaya hai.
  10. Insole ke upar jo lines bani hui hai, vhan par “Fabric” ka use kiya gaya hai.
  11. Shoes ke outer sole and midsole me TPR meterial ka use kiya gya hai.

Friends ye shoes bahut hi best hai un logo ke liye jo aek classic stylish shoes find kar rahe hai. And sabse amazing baat to ye hai ki is shoes ki price 5,499 rupees se gir kar sidha 1,099 rupees me agayi hai, isliye aapko yah mauka nahi gawana chahiye. Niche diye gaye link pe click kar ke aap is shoes ko buy kar sakte hai.

official Link:- https://www.redtape.com/products/red-tape-casual-sneaker-shoes-for-men-classic-rounded-toe-soothing-insole-impact-resistant-comfort-rsl0567


No.2- RSO3611 Shoes

Red Tape ki ye shoes jiska name RSO3611 hai. Yah shoes launch hone ke waqt iski price 8,999 rupees thi, but abhi is shoes ki price 2,699 rupees ho chuki hai. 

Features

  1. Is shoes ko dekhne par bilkul futuristic look lagta hai.
  2. Shoes ka colour black hai and jaghe-jaghe par “Chromatic colour ki coating” ki gayi hai.
  3. Is shoes ki puri body mein “Textile Fabric” ka use kiya gaya hai.
  4. Shoes ke back side me Red Tape ka logo 3D me print kiya gya hai, jise ek side se dekhne per Red Tape dikhega and dusri side se dekhne par Red Tape ka logo dikhega.
  5. Shoes ke outer side mein bahut hi futuristic design ki gayi hai.
  6. Is shoes me lace ki jagah “BOA” lacing system ka use kya hai hai. Jise aap ghuma kar shoes ko tight kar sakte ho and dhila bhi.
  7. Is shoes ke bhi insole me “Memory Foam” ka use kiya gya hai, jo poori tarike se “Green colour” ki hai.
  8. Shoes me alag-alag tarah ki items ka use kya gya hai, isliye iska look itna futuristic hai.

Friends agar aap aek aesi shoes find kar rahe hai, jo “halka stylish and crazy type ki ho” to ye shoes aapke liye best hai. Aur khaskar ye shoes abhi 70% ki offer me hai.

official Link:-https://www.redtape.com/products/redtape-sports-shoes-for-men-dial-lace-quick-on-soft-cushioned-insole-slip-resistance-dynamic-feet-support-arch-support-shock-absorption-121-111


No.3- RSL0532 Shoes

Red Tape ki yeh RSL0532 name ki shoes launch ke waqt iski price 5,299 rupees thi and abhi iski price only 1,059 rupees hai. Yeh shoesStylish” and “Beautiful” hai.

Features

  1. Is shoes ki puri body ko PU material se bnaya gaya hai.
  2. Is shoes mein bhi multiple colors di gayi hai, ( Black, Grey and Red colour. )
  3. Is shoes mein Red Tape ki logo side me bnaya gaya hai, and red colour sirf shoes ke back side me hai.
  4. Yah shoes andar se bahut hi soft hai, jise pahenne ke bad aapko kafi aaram feel hoga
  5. Is shoes ke bhi “Insole” me “memory foam”  ka use kiya gya hai.
  6. Shoes ke front mein 9 chote-chote hole bhi hain, taki andar pasina na ho.
  7. Is shoes ke midsole me “EVA Foam” ka use kiya gya hai, jo ki bahut hi best foam hai.
  8. Shoes ke back side mein bhi Red Tape ki branding ki gai hai.
  9. Shoes ke lace wali part ke right side me bilkul chote anko me “1996” likha gya hai. Yah wahi saal jis sal Red Tape company ki shuruaat hui thi.

Red Tape brand ki yeh shoes bahut hi cool and stylish hai. Isliye agar aap naye-naye model ke shoes ko pahnane mein interest rakhte ho to aapko yah shoes bhi lena chahiye. Because ye shoes abhi 80% ki offer me hai.

Official Link:-https://www.redtape.com/products/red-tape-casual-sneaker-shoes-for-men-classic-rounded-toe-soothing-insole-impact-resistant-comfort-3


No.4- RSO4102 Shoes

Red Tape ki yeh RSO4102 shoes launch ke waqt iski price 6,499 rupees thi but abhi ye price kam ho kar 1,299 rupees me aa chuki hai.

Features

  1. Is shoes ka colour grey type ka hai but agar aap thoda sa focus karoge to aapko halka blue color ki feeling bhi aayegi.
  2. Shoes ki back side me black color se design ki gayi hai.
  3. Is shoes ki puri body ko mesh se bnayi gayi hai.
  4. Jagah-jagah per TPU ki coating bhi ki gayi hai.
  5. Shoes ke “outer side” mein Red Tape ka logo diya gaya hai.
  6. Shoes ke back side mein black color ki stylish coating ki gayi hai.
  7. Is shoes ki back side me aek pull tab bhi lgaya hya hai.
  8. Shoes ki laces grey colour ki hai and ye lace best quality ka hai.
  9. Is shoes ke tongue ke upar tongue holder and aek pull tab ko aek saath bnaya gya hai, and iske upar bhi branding ki gayi hai.
  10. Is shoes ke insole me aek khaas tarah ka meterial use kiya gya hai, jo one of the best insole me se aek hai.
  11. Is shoes me kai jagah plastic ka use kiya gaya hai design ke liye.

Red Tape ki ye RSO4102 Shoes “Bounceable” and “Relaxing” shoes hai. Agar aapki “Fitness” and “Height” achchi khasi hai to ye shoes aapke liye best hai, because ye shoes bahut hi jyada stylish type ki hai. Agar aap is shoes ko buy karne ke bare me sonch rahe hai, to aapko turant se ye shoes buy kar leni chahiye, because ye shoes abhi 80% ke offer chal rha hai.

Official Link:-https://www.redtape.com/products/red-tape-grey-athleisure-shoes-for-men-cultured-roundtoe-shape-cushioning-technology


No.5- RSO3636 Shoes

Red Tape ki ye RSO3636 Shoes launch  ke waqt iski price 8,199 rupees thi, and abhi offer ke chalte iski rate kam ho kar 2,459 rupees me aa chuki hai.

Features

  1. Shoes ka poora body mesh se bnaya gya hai.
  2. Is shoes ka total colour “Green Ocean”, Black and “White” hai.
  3. Shoes ke poore body me TPU ki coating ke throo printed ki gayi hai.
  4. Is shoes ke tongue me aek tongue holder bhi lgaya gya hai.
  5. Ye shoes bhi andar se bilkul soft and arama dayak hai.
  6. Shoes ke outer sole me bade-bade “TPU Patch” hai and “Design” bhi.
  7. Is shoes ke niche “Super soft TPU” foam ka use kiya gya hai.

Red Tape ki ye RSO3636 shoes sirf or sirf un logon ke liye hai, Jo aek aesi shoes ki talash me hai jo “soft bhi ho and usme design bhi ho sath hi bounceable bhi ho but jyada bhadkila na ho” to yeh shoes unlogon ke liye hi hai. I think aapko ye abhi turant se buy kar leni chahiye because abhi ye shoes 70% ki offer me hai.

Officila Link:-https://www.redtape.com/products/red-tape-sports-walking-sports-shoes-for-men-soft-cushioned-insole-slip-resistance-dynamic-feet-support-arch-support-shock-absorption-6


Conclusion

Maine aapko Red Tape ki 5 aeise stylish shoes ke bare me bola hai jo budget friendly hai. And maine aapko sare shoes ke features bhi bola hai, but agar aap ye sonch rhe hai ki “itna stylish shoes bhla itne kam rate me koi kaise de sakta hai jaroor ye information post galat hai” to mai aapko bta du ki shoes ki itni saari information collect karne me mujhe poore three days ka samey lga tha, and tab jakar mai ye information post aap sabke liye likha. Ye saare shoes 70% ya 80% ki offer me hai sirf or sirf isiliye itne kam rate me mil rahe hai.

FAQ

Ques 1- सबसे आराम दायक जूता कौन सा है ?

Sabse best quality and reliable shoes ka brand “Nike” hai’ jo apne alag-alag models ke shoes ke liye jana jata hai.

Ques 2- कैजुअल शूज कौन से होते हैं?

Casual shoes (Sneakers, Loafers, Bot shoes, Espadrilles, and Sandals) hote hai.

Ques 3- सबसे महंगे शूज कौन सी कंपनी के आते हैं?

Sabse expensive shoes “Moon Star” company ki hai, is company ki aek shoes ko world’s expensive mana jata hai, Because usme design ke liye 24K Gold ka use kya gya hai.

Ques 4- रनिंग शूज कैसे होते हैं?

Running shoes ke niche ki sole me aek khaas tarah ka meterial use kiya jata hai, jisse running ke waqt ye shoes (Force, Jhatka, chote,) ko kam kar dete hai. And running speed me bhi boost dalti hai.

Ques -5 ओरिजिनल शूज की पहचान कैसे होती है?

Original shoes ki pahchan karne ki kai tarike hai jaise ki……

  • Shoes me lage hue brand ke logo ko check kijiye, because duplicate me aksar koi na koi galti ho hi jati hai.
  • Shoes ki photo kheech kar aap Google search kijiye jisse aapko pta chal jayega ki wo us shoes ki asal price kitni hai and shoes original hai ya nahi.

Ques -6 जूता कितना टाइट होना चाहिए?

Shoes aesa hona chahiye jise pehenne par aapke pair ka anghoote me itna gap ho ki jab aap apne anghoote ko taan de to tab jakar anghoota shoes ke end point ko tech karega.

Leave a Comment