“Teenagers” ya fir unke parents welcome to my (Teenager Stylish) Website. Aapko pata hoga ki ek teenager boy ki pahchan uske behaviour se jyada uske look se kiya jata hai. Or hamare look ki important part me se aek “Hairstyl” bhi hai. Agar ham Apne hair style ko apne Imotion ya fir hamara behaviour jis category me aata uske according apne hair ko set karle, to ham bahut hi jyada attractive lagenge. Becouse hamara hair style ya to hamare behaviour ko represent karega ya fir hamari emotion ko. Agar aap apne hair style ko apne “Faceshape” ke according set karna chahte hai, to ye bhi aek sahi idea hai. Lekin yeh website “Teenager Stylish” hai, yhan par aapko hamesha bahut hi different and new Tips hi janne ko milengi. Jaise ki Hairstyle for men 2024 esi ke bare me janenge. Yes! mai laya hun alag – alag category ke logo ke liye different – different bahut sare hair style. Or har category me aapko Two type ke different hair style mil jainge. Or ye hair style sabhi ke face shape me bilkul acchi tarike se suit bhi karenge. Agar aapka face shape dimand nahi hai to ye website aapke liye kisi vardaan se kam nahi. Lekin fir bhi agar aap apne Hairstyle ko apne Faceshape ke according set karna chahte hai to uske bare me bhi aap janenge. Bas aap esi tarah is page ko padte rahiye.
No.1.Category:- Jovial Person
Yeh us type ke insaan hote hai Jo jyadatar haste or logo ko hasate rahte hai. Yani Is tarah ke log bahut hi khush mijaj type ke hote hain.
Example:-
Aapke dosto mein se koi na koi aisa dost jarur hoga Jo aapka har waqt majak udata ho aur jab aapko bura lag jaye to wo turant se mafi bhi mang leta ho.
Is type ke logon ki to kai pahchan hai, unhin me se aek yah bhi hai ki aise log kabhi bhi apne doston ke samne sharmindagi feel nahin karte.
Agar aap ya fir aapke Teenager bacche is Jovial category me aate hain to aap unke hair style ko 2 tarah ke karva sakte hai.
Hairstyle name and Tutorial:-
No.1- Textured crop hair:-
Textured crop hairstyle me aapke baal chote – chote hote hai or balo ki texturing ki jati hai, aap chahe to ise ghar par bhi kar sakte hai. Bas aap ko kuchh steps follow karne honge.
1. Sabse pehle balo ko bhigo lena hai or halka – halka towel se sukha lena hai.
2. Uske bad balon me thodi si texturizing spry daliye jo aapko offline market mein bade hi aasani se mil jaega.
3. Then apne finger se balon ko idhar – udhar bikheriye, because aapko kanghi ka use bilkul bhi nahin karna hai. Uske baad balon ko thodi si upar uthane ki koshish kijiye.
4. Uske bad balon mein thodi si Hair hold volume spray lgaiye, then aapka hairstyle taiyar.
No.2- Faux Hawk:-
Faux Hawk name ka ye hair style bhi Textured crop hair style jaisa hi hai bas isme sirf aek hi fark hai ki, Textured crop hair style me aapke hair me kam volume hota hai or Faux Hawk me aapka hair poori tarike se volume ke saath khada rahega. Is hair style ko bhi aap ghar hi par kar sakte hai agar aapne in steps ko follow kiya to.
1. Sabse pehle apne hair ko ache se dho kar halka – halka sukha lijiye.
2. Uske bad side ke balon ko trimmer se kaat dijiye. Yah jaruri to hai but aap chaho to ise nahi bhi kar sakte ho.
3. Then Texturing spry balon mein dalkar sabse pahle piche ke balon ko khada karen uske baad samne ke balon ko poori tarike se khada kar ke blow dryer se sukha len.
4. Uske bad 10 minut khud ko hold rakhen jyada na hile agar aapka texturing spry hard na ho to. And finally aapka hairstyle set ho chuka hai.
Notice:-
“Aap” ya fir apne “Teenager” bachcho ko Faux Hawk hair style ko pahle try karne den, uske bad yah dekhiye ki kya uske face mein yah hair style suit kar raha hai ya fir nahin. Because yeh hairstyle teenage mein thoda sa better na lage, but ho sakta hai face shape ke region se yah suit kar jaye.
No.2.Category:- Attitude person
Yah use tarah ke log hote hain jinhen ghamandi ke name se bhi jana jata hai. Kyunki is type ke log jyadatar kisi ke saath milna julna pasand nahi karte. Aur sirf gine – chune hi dost inke hote hain.
Is type ke logon ki sabse badi pahchan yeh hai ki inhen kisi se bhi koi bhi matlab nahin hota. Aur inke samne koi bhi galat baat karne ki himmat kisi me bhi nahin hota.
Example:-
Vaise to is tarah ke dost bahut hi rearely milte hain but agar aapka koi dost is category mein aata hai to apne kabhi na kabhi to notice kiya hoga ki, yah Banda apni personal baat kabhi bhi share nahin karta.
Hairstyle name and Tutorial
No.1- Slicked Back:-
Sliked Back hair style main aapke hair long or side and back ke hair chhote hone chahiye. Is hair style mein aapka long hair volume ke saath bilkul peeche ki taraf hongi. Is hair style ko bhi aap bade hi aasani se ghar per hi kar sakte ho. Isliye bas aap follow kijiye in steps ko.
1. Apne hair ko bilkul acchi tarike se wash karke sukha lijiye.
2. Uske bad balon mein hair jail lagaiye.
3. Then Brush comb ki madad se apne poore hair ko peeche ki or shift kar dijiye.
4. And last aapko upar – upar se hair spry kar dena hai, jisse aapka hair lambe time tak hold rahega.
No.2- Quiff Hairstyle
Is hair style main aapke piche ke hair kam volume mein hote hain aur samne ke hair upar ki or uthe hue hote hain. Yani samne ke bal mai volume jyada hota hai. Aap is hair style ko bhi ghar mein baithe hi set kar sakte hain in steps ko follow kar ke.
1. Sabse pahle aapko apna hair acche se 2 ya 3 time wash kar lena hai.
2. Uske bad aap apne hair me volume spry daliye.
3. Or ab aapko centre ke hairs me kuchh bhi nahi karna, bas samne ke hair ko khada karna hai.
4. Baal ko khada karne ke time aapko apni finger ka use karna hai naki kanghi ka. Or ab aapka hairstyle completely set ho chuka hai.
No.3.Category:- Professional Student
Professional student ka matlab yah nahin hai ki vah bahut hi jyada rich ho balki iska matlab to yah hai ki uski personality bahut hi standard ho. Yani professional students hamesha khud ko maintain mein rakhte hain chahe unki Teenage ho ya fir usse jyada.
Is tarah ke students ki bhi kai pahchan hai unhin mein se ek yah bhi hai ki, jab bhi shirt ya fir paint me thoda sa bhi dhool lag jaaye to yah apne hathon se use jhaad kar saaf kar lete hain.
Teenager bacchon ki pahchan yah hai ki yah jab bhi khelne – kudne ke liye jate hai to inke clothe bilkul bhi gande nahi hote. Or jab bhi bahar se khel – kood kar aate hai hamesha muh – haath – pair achehe se dho lete hai kyuki inhe gandagi bilkul bhi pasand nahi hoti, chahe inki age teenage ho ya usse jyada.
Hairstyle name
No.1- Undercut Hairstyle
Is Undercut Hairstyle me aapke side ke hair bilkul chhote hote hain aur centre ke hair long hote. Jinhen aap puri tarike se piche jhad sakte hai. Piche jhadne per aapke long hair lagenge hi nahi ki aapka hair bahut jyada long hai. Yah sirf aur sirf school students ke liye hai.
No.2- Buzz cut Hairstyle
Yeh hairstyle jyadatar army mein kiya jata hai. Isme aapke side hair bilkul bhi nahi hote and centre haire bilkul short hota hai. Or ye hairstyle students ke liye bahut hi sahi style hai. agar aapko lagta hai ki aap thode se Handsome ho to ye hair style aap par guarantee ke saath suit kar jaega.
Hairstyle according to your Face shape
Aapka face shape kya hai yah pata karne ke liye to kai tarike hai, aapko jo aasan lage aap vaise hi apna Faceshap pata kar sakte hain.
How to know your face shape ?
Apne face shape ko pata karne ke liye kai tarike hain chaliye sare tarike ko jaane.
My personal Tricks:-
No.1. Sabse pahle aapka mirror ke samne bilkul sidha khade ho jana hai, uske bad sketch se mirror par apne face ke outline ko dra kijiye. Isase aapko pata chal jaega ki aapka face shape kya hai.
No.2. Apne kisi bhi phone se apna photo le, uske bad edit section mein jakar pencil ke button par type karen. And then Apne face ke side mein outline draw karen. Isase bhi aapko yah pata chal jaega ki aapka face shape kya hai.
Apne face shape ko pata karne ke liye aapko play store mein kai apps mil jaenge. But kisi app mein bahut jyada AD aata hai ya fir kuch apps aapke face shape ko galat batate hai. Isliye maine Play Store se chaat – chaat kar sabse famous aur bharosemand apps ko laya hun.
Faceshape checker Apps
No.1. Man Matters: Hair, Beards, Skin
No.2. FaceApp: Perfect Face Editor
No.2. Hiface- Face Shape Detector
Hairstyle according to your Face shape
Common Face shape normally six types ki hoti hain. But Kaun – Kaun si chaliye jaane.
1. Long
2. Round
3. Oval
4. Square
5. Heart
6. Dimand
Ab chaliye jante hain in 6 face shape ke upar kaun se hair style suit karenge.
Face shape and Hairstyle
No.1. Long Face Shape:-
Jiska bhi Long face shape hai, vah majboot logon ke list mein aate hain. Or ye bhi mana jata hai aise log apne limit mein rahana pasand karte hain.
Hairstyle
Ismein aapke hair bilkul bhi volume nahin hona chahie varna aapka face bahut hi jyada lamba lagega. Isliye aap apni hairs ko kisi bhi tarah ki hair style me rakh sakte ho but samne ke hair samne latake hue hone chahiye, jisse aap bahut hi jyada attractive lagoge.
No.2 Round Face Shape:-
Ye Round face shape jyadatar un logon ki hoti hai Jo thode fat hote hai. But yah face se bhi bahut hi achcha hai.
Hairstyle
Ismein aapka hair high fade bilkul bhi nahin hona chahie. Balki apne side ke hair ko grow kare and time to time cut karvate rahe. Aur aapke center hair medium volume mein hone chahie. Yah hair style Round shape face me bilkul sahi suit karenge.
No.3 Oval Face Shape
Yeh Oval shape face asal mein ek andakar chehra hai. Aur is face shape ke logon ko Harmonious aur Balanced mana jata hai. Saath hi yeh face shape bhi bahut hi acchi hai.
Hairstyle
Jaisa ki maine aapko bola ki yah face shape ek balanced face shape hai. Ismein aap apne according apne balon ke sath experiment kar sakte hain. Agar aapka yah face shape hai to aapko koi jaruri nahin hai ki koi ek hi tarah ka hair style rakhni hai. Aap tarah – tarah ke hair style try kar sakte hain, jismein aapka face bahut hi jyada suit kar jaaye aap use apna parmanent hair style banaa sakte hain. But sabse best hair style aap “Zayn Malik” ki tarah Brush up hairstyle rakh sakte hain.
No.4 Square Face Shape
Is Square face shape par bhi strong ka tag lgaya gya hai. Is shape wale log chahe Teenager ho ya fir usse jyada yah hamesha Smart lagte hain. Lekin ek hair style hai jo inhen attractive banati hai.
Hairstyle
Is face shape mein aapko long hairs ko avoid karna hai, aur hair ki length maximum medium hi rakhna hai. Is face shape mein aap try kijiega ki aapka hair halke volume mein rahe. Aur ho sake to salon mein jakar aap apne side ke hair ko one number se trim karva sakte hai.
No.5 Heart Face Shape
Yah Heart face shape sabse best face shape me se ek hai. Agar aapka ya aapke bachho ka face shape heart hai to aap bhi apne bacho ki kai kai tarah ke hairstyle rakh sakte hai, Jo ki unke upar bahut hi ache se suit karega.
Hairstyle
Is Heart face shape ke according aapko apni hairstyle Fringe hairstyle me rakhni hai. Isme aapke side hair bilkul chote hote hai or centre hair long hote hai sath hi aapko apne samne ke hair ko is tarike se rakhna hai ki, wo forehead ko cover to kar le but eyebrow ke neeche na aaye.
No.6 Dimand Face Shape
Yah Dand shape face bahut hi rare logon ko hi milta hai. Agar aapka bhi face shape dimand hai to aap bhi unhi rare logo me aate ho. But agar aap is face shape me koi sa bhi hairstyle kar lete ho isse aap bahut hi bekaar lagoge.
Hairstyle
Is face shape ke liye Side-swept bangs hair style best hai. Agar aap koi aur Hairstyle rakhna chahte hain To aap inme se select kar sakte hain (Swept Across, Sweeping Fringe, Tousled Bob, Teased Bob) aap in hair style me se kisi ko bhi choose kar sakte hai. Ye sare hair style dimand shape face par suit karenge.
I hop aapko sab kuchh acche se samajh me a gaya hoga, because maine aapko pure detail se samjhane ki koshish kiya hai, but agar aapko abhi koi doubt ho to aap please mujhe comment karen.
Conclusion
Teenager ya unke parents ab sabse aakhir me mai apni kuchh baat rakhna chahta hun. Agar aap in hair styles mein se koi bhi ek hair style select karte ho, to aapko yah nahin sochana hai ki is hair style mein aap bilkul perfect lagoge ! Because her hairstyle me aapke kapde bhi metter karte hai, agar aapne apne hairstyle ko bahut hi stylish rakha hai to ye theek to hai but agar aapne neech kapde sahi nahi pahne to aapka poora look kisi chapri se kam nahi lagega. Mere kahane ka matlab yah nahin ki aapko mahange kapde pahanne hain, balki aap jab bhi koi bhi kapda pahno to aapko yah dekhna hai ki kya is situation mein aapke yah cloth aap per suit karenge ? Yani ho sakta hai aap kabhi dukaan mein kaam karne jao ya fir ho sakta hai aap kabhi kisi ke merrege me jao, to ab aap in dono hi jagah mein ek hi kapde to nahin pahan kar jaaoge na ! Theek aise hi aapko yah dhiyan rakhna hai ki abhi aapki situation kaisi hai. Aur apne situation ke hisab se cloth ko pahne. Chahe voh Shirt, Paint ho ya fir T-shirt, Lober.
FAQ
Ques -1 Which hairstyle is good for school boys?
Students ke liye kai hairstyle hai unhi me se aek ye bhi hai Classic Undercut Hairstyle Jo ki students ke liye sabse best hairstyle hai.
Ques -2 Which is the best haircut for boys?
Boys ke liye bhi kai hair style hai Jaise ki Classic Toddler cut, Funky Fades, and Curly Charm jaise bahut sare hai style hai.
Ques -3 How do boys get nice hair?
Kai log Apne balon ke sath bahut sari galtiyan karte Hain unhin mein se ek yah bhi hai ki apne balon ko baar baar wash karna. Aapko hafte mein 2 ya 3 bar hi baal ko dhona hai. And jab bhi aap apne hair wash karen hamesha conditioner ka use karen
2 thoughts on “Hairstyle for men 2024 | लडको के लिए नया हेयर स्टाइल आ चुका है।”